FD & RD Calculator
Fixed Deposit (ek saath rakam) ya Recurring Deposit (har mahine jama) – maturity ka hisaab same page par. Amount, rate aur tenure daalein; jawab turant neeche. Tax slab chunenge toh post-tax figure bhi dikhega. Poora calculation aapke browser mein hota hai, koi data kahin nahi jaata.
Step 1: FD ya RD – aur kitni rakam
Step 2: Interest rate
Step 3: Tenure
Step 4: Aapka tax slab (optional)
Aapka jawab
FD/RD par interest fixed hota hai aur maturity pehle se tai – par interest par tax aapki overall income par nirbhar karta hai, isliye post-tax figure approximate hai.
Saal dar saal: paisa kaise badhta hai (chart)
Compounding ka kamaal: har quarter ka interest agle quarter interest kamata hai. Isi liye lambe tenure mein interest ka hissa tezi se badhta hai.
Year-by-year table
| Year | Kul jama | Us saal ka interest | Value (pre-tax) |
|---|
Figures rounded. Interest monthly calculate aur quarterly compound maana gaya hai – banks ka standard tareeka. RD mein kist mahine ki shuruaat mein jama maani gayi hai.
Rate badla toh kya? (sensitivity)
Same rakam, same tenure – sirf rate badla. Banks mein FD/RD rates alag hote hain; 0.5% zyada rate lambe tenure mein hazaron ka farak daalta hai, isliye compare karna worth hai.
Aapke numbers se calculation
Aasaan shabdon mein: kya dhyan rakhein
- FD ya RD? Ek saath rakam hai (bonus, savings ka pool) toh FD. Har mahine ki bachat se fund banana hai toh RD – dono ka rate aam taur par same hota hai.
- Tax ka sach: FD/RD ka interest aapki income mein jood kar slab ke hisaab se tax hota hai. 30% slab mein 7% ki FD ka asli asar lagbhag 4.9% reh jaata hai – upar Step 4 mein apna slab daal kar khud dekhein.
- TDS alag baat hai: bank saal ka interest ek seema se zyada hua toh TDS kaat sakta hai, par TDS katna tax se chhoot nahi hai – baaki tax return mein dena hota hai. Seema aur niyam badalte rehte hain; current detail apne bank ya CA se confirm karein.
- 5-saal ki tax-saver FD old tax regime mein Section 80C deduction degti hai, par uska interest phir bhi taxable hai aur paise 5 saal lock hote hain.
Aksar poochhe jaane wale sawaal
Kaunsa rate daalun?
Jo rate aapka bank aapko de raha hai wahi. Rates bank, tenure aur senior-citizen status ke hisaab se alag hote hain; ye calculator koi rate assume nahi karta.
FD/RD safe hai?
Bank deposits DICGC insurance ke tahat ek nishchit limit tak (per depositor, per bank) cover hote hain. Limit sarkaar tai karti hai aur badal sakti hai – current limit DICGC ya apne bank se confirm karein. Badi rakam ho toh banks mein baantna ek common practice hai.
RD ki kist miss ho jaaye toh?
Bank late fee le sakta hai aur lagatar miss par RD band bhi ho sakti hai – detail aapke bank ke niyamon par nirbhar hai.
Premature withdrawal?
FD/RD todne par aam taur par interest penalty (lagbhag 0.5-1%) lagti hai; kuch FD non-callable hoti hain jo toot hi nahi sakti. Bank ke niyam pehle padh lein.
Post-tax figure kitna sahi hai?
Approximate hai – humne poora interest maturity par ek saath tax kiya hai. Actual tax har saal ki aapki total income, regime (old/new) aur TDS par nirbhar karta hai. Sahi planning ke liye CA se confirm karein.
Rate fixed rehta hai?
FD/RD mein jis rate par khuli, woh poori tenure ke liye fix rehta hai. Nayi FD/RD naye rate par khulegi.
Parveen Gaur – AMFI-registered Mutual Fund Distributor, ARN-101447 · Ambala, Haryana
